Dimagi sehaat ki ahmiyat.
Har guzarte din ke sath aap ki mazid umar barh rahi hai ya aap boorhe horahay hain? Agar aap rozana sabz chai peetay hain, phal aur sabziyon ke paanch tukray (five servings) lete hain, 30 minute warzish karte hain, apni tabei umar aur sehat ki munasbat se ghizaai supplements lete hain, apne piyaaron aur doston ke sath maayari waqt guzartay hain aur saat ghantay ke lag bhag baqaedaagi se neend lete hain to samjhein aap ki umar zaroor barh rahi hai magar aap boorhe ghaleban sust raftari se horahay hain.
Is ke baraks agar aap ke nashtay mein rozana meethi poori aur degar meethi ashya khaana shamil hai, dopehar ka khana aksar chhor dete hain, bohat ziyada cigarette ya chai peetay hain aur apne daftar ke saathiyo, piyaaron aur ghar walon ke sath har waqt ghair zaroori takraar mein uljhay rehte hain to aap ghaleban tezi se barhape ki taraf barh rahe hain.
Kuch log apne 30 ke ashtray mein hi boorhe se mehsoos hone lagte hain, jab ke kuch log 50 ke ashtray mein bhi jawaan nazar atay hain. Aap jald boorhe hojatay hain ya aap sada bahar jawaani paatay hain, is ka daro’madamdar aap ke roz marra ke mamulaat aur zindagi guzarnay ke taur tareeqon (lifestyle) par hai.
Sciencei lehaz se insan boorha hona is waqt shuru hota hai jab insani khalion ki jhilion mein shamil ek ahem kimiya’i juz Phosphatidylcholine khatam honay lagta hai.
Damagh kya hai?
Majmooi jismani wazan mein dimagh ka hissa 2% huwa karta hai, taham jism 20% khoon dimagh se hasil karta hai, isi tarah jism ki 20% oxygen aur glucose dimagh istemaal karta hai. Is ke alawah jeeniyati pechidagi mein 50% numaindgi dimagh ki hai, dosray alfaaz mein is ka matlab yeh huwa ke insan ke adhay jeenz us ke dimagh ke design ko byaan karne mein istemaal hote hain, jabke baqi 50% jeenz 98% jism ki banawat ko byaan karte hain. Mazeed baraan, dimagh aap ke jism ka controller hota hai.
Yeh aap ke dil ki har dharkan, aankh ki har jhapak, hormones ke release hone aur aap ki har jismani harkat ko control karta hai. Insani jism mein dimagh ki is qadar ahmiyat aur markaziyyat ke baais yeh zaroori hai ke insan apne dimagh ko mutharrak, sehat mand aur khush rakhne ke saath-saath is ke boorhay hone ke amal ko sust karna (yaani jawaan rakhne) ke liye bunyadi zaroori tadabeer ikhtiyaar kare.
100 arab neurons aur 1 trillion cells
Hum jante hain ke insani dimagh 100 arab neurons aur 1 trillion sereesh khaliyon (glial cells) se bana hai. Pehle yeh samjha jata tha ke sereesh khaliye neurons ko sirf tabi’i madad faraham karte hain, taham nayi tahqeeq batati hai ke yeh khaliye mu’anqa (synapses) par bhi asar-andaaz hote hain. Mu’anqa dimagh ki un jagahon ko kaha jata hai jahan neurons aur sereesh khaliyon ka apas mein milaap hota hai. Dimagh mein bahami milaap (connection) ki aisi jagahon ki tadad 100 trillion hai aur yehi woh jagahain hain, jahan dimagh apne zyada tar kaam anjaam deta hai.
Apne dimag ko Khud skill den.
19vi sadi ke darmiyan yeh samjha jata tha ke dimagh makhsoos sakht ka hota hai aur uske neurons ko tabdeel ya dobara paida nahi kiya jasakta. Taham science ke maidan mein haaliya arsay mein honey wali peshraft “brain imaging research” se maaloom hua hai ke dimagh na sirf apni sakht tabdeel karne ki salahiyat rakhta hai balkay darhaqeeqat yeh insani jism ka sab se mutaharrik aur khud bakhood muntazam honay wala hissa hai.
Tehqeeq se yeh bhi maaloom hua hai ke dimagh ki yehi woh khosusiyaat hain jiskay baais jabb kisi shakhs ke dimagh ka aik hissa falij se mutasir ho kar ghair mutaharik hojata hai to dimagh apnay khudkaar nizam ke tehet mutasirah hissay ki malumat, ilm aur hunar ko dimagh ke sehatmand hissay ki taraf muntaqil kardeta hai. Dimagh ke iskeen se yeh baat bhi samnay ati hai ke hamari soch ke nateejay mein dimagh mein naye maaneqa (aasaan alfaaz mein connections) aur yahan tak ke ghair mutshakil khaliyon (stem cells) se naye neurons bhi peda hotay hain, jo dimagh ki sehat ko behtar bananay mein madadgar sabit hotay hai
Iske baad science dan is natijay par pohanchay hain ke insaan apnay dimagh ko darasal khud apni soch se tashkeel deta hai.
iistemal Karen ya Zaaya Karain ?
Damagh, insaan ke kisi bhi degar gosht ke tukray ki tarah hai, jise aap istemaal karein ya zaya kardain. Hamein pata hai ke jab insaan ek arsay tak bistar par para rehta hai (kisi bimari ke baais) to us ke pathey kisi kaam ke nahin rehtay. Damagh ki sehat ka bhi yehi mamla hai. Jab insaan apne damagh ko aqli tor par challenge karne wali sargarmiyon mein mashghool nahin rakhta, phir chahe woh damagh ko faida pohanchane wale vitamins ya ghizaain hi kyon na khaata ho, sehat mand damagh bhi naye connections banana khatam kar deta hai, jis ke natije mein woh bad-nazmi ka shikaar aur bilaakhir ghair-faail ho jata hai. Is ka matlab yeh hua ke jis tarah jismani tor par kamzor shakhs baqaeda warzish ya jismani therapy ke zariye apne paton ko dobara faal bana sakta hai, damagh ko bhi isi tarah phir se mutaharrik banaya jasakta hai.
Canada mein honay wali aik tahqeeq mein kaha gaya hai ke woh umar rasidah afrad jo apne damagh ko roz marrah ki challenging sargarmiyon jaisey kitabain mein masroof rakhtay hain, damaghi tor par mutaharrik rehtay hain. Is ke baraks, apne damagh ko sukoonat ki haalat mein rakhnay walay umar rasidah afrad ki zehni salahiyat mein qaabil-e-zikr kami dekhi gayii.
Sehat mand tarz-e-zindagi, sehat mand dimagh
Ek aur kahawat ke “aap jo khaate hain, wahi hote hain” bhi durust hai. Ghiza, dimagh ko challenging sargarmiyon mein masroof rakhne ke ilawa dimagh ki sehat ko barqarar rakhne mein saf-e-awal ki mudafiat ki quwwat faraham karti hai. Agar aap ki ghiza-naafi kaafi hai to is kami ko aap dimagh ko taqwiyat dene wale azafi supplements ke zariye poora kar sakte hain.
Aap ka dimagh 60% farhat (fats) par mushtamil hota hai, is liye dimaghi sehat ke liye sehat mand charbi ko apni ghiza mein shamil karna zaroori hai. Machhli mein paye jane wale omega-3 fats ke dono ajza eicosapentaenoic acid (EPA) aur docosahexaenoic acid (DHA) aap ke dimaghi reshon ko banane ke liye ahem hote hain. Zyada cheeni aur nashastey wali ghizaon ka istemal kam karna chahiye, ye cheezein maaday mein sozish paida karte hain, jo dimagh ko tezi se borha karne ka baais banati hain.