har Dil azhari Strawberry sehat Ki jamanat
Mosam sarma mein jaise jaise sardi kam hoti jati hai mein jagah jagah strawberry nazar aane lagti hai. Dil ki shakal se mushabeh gulab ke khandan se taluq rakhti wali strawberry shagufta surkh rangat aur sar par sabz paton ke taj se arasta har dil aziz phal hai, jise sehat ki zimanat bhi kaha jata hai.
Jadeed tibi tahqeeqat ke mutabiq strawberry ka rozana istemal insaan ki quwwat mudafiat ko barhane aur sehat mand rakhne mein ahem kirdar ada karta hai. Strawberry mein aese qudrati ajza paaye jate hain, jo aarza-e-qalb aur cancer jaise kayi mohlik amraz ka muqabla karne ki salahiyat rakhte hain. Strawberry mein potassium aur minerals hote hain jo jism ka mudafiat-e-nizam behtar banate hain.
Strawberry mein maujood ellagic acid aur flavonoids aisa antioxidant asar faraham karte hain, jis se dil ki sehat behtar hoti hai. Yeh khoon mein kharab cholesterol ke asrat ka muqabla karte hain, jo sharianon mein khoon ghadha karne ka bana deta hain.
Tibi mahireen ke mutabiq strawberry vitamin C ke husool ka behtareen zariya hai. Antioxidants se bharpoor strawberry motiyon ke marz ki rok tham mein madadgar sabit hosakti hai. Strawberry mein maujood vitamin C collagen ko barhane ke liye bhi ahem hai. Collagen jild ki latchak aur narmi ko behtar banane mein madad deta hai. Strawberry mein maujood antioxidants aur degar ajza joron ke warm ka asar kam karne mein bhi mumkinha tor par madadgar sabit hosakte hain.
Dil ki sehatStrawberries mein mojood anthocyanin aur quercetin dil ki bimari se bachane mein madad kar sakte hain. 2019 ka ek mutalia bataya gaya ke anthocyanin ka talluq dil ke douray ke kam khatray se hai. Mazeed bara’an, 2016 ki tahqeeq ke mutabiq, quercetin mein sozish ke khilaf khosusiyyat hoti hain jo ke dil ki bimari atherosclerosis ke khatray ko kam karti hain.
Strawberries mein mojood potassium bhi dil ki sehat ke liye mufeed hai. Is ke ilawah, 2016 ka meta tajzia mein ghizaai flavonoid ki miqdar aur falij ke darmiyan talluq ka andaza lagane ke liye 11 clinical trials ka jaaiza liya gaya. Is tajziye mein yeh nateeja akhaz kiya gaya ke zyada flavonoid wali ghiza falij ke khatron ko kam kar sakti ha
Kainsar se bachaao
Aik mutalia ke mutabiq strawberry aur degar berries mein maujood ghizaayat se bharpoor murakkabat baaz aqsam ke cancer se bachaane mein madad kar sakte hain. Yeh bunyaadi tor par maaday aur chhaati ke cancer ko rokne mein madadgaar hain, lekin kuchh had tak munh, phayphron, prostate, jigar aur lablay ke cancer ko bhi rokne mein madad kar sakte hain. Kisi aik murakkab ki nishandahi karne ke bajaaye musannifeen ne qiyas kiya ke faida mumkin tor par strawberry mein maujood tamam murakkabat ke mushtarka asar se hota ha
High blood pressure
Strawberry mein mojood potassium high blood pressure mein mubtala logon ke liye faida mand sabit ho sakta hai. 2018 mein honey wali tehqeeq ke mutabiq potassium jism mein sodium ke manfi asraat ko door karnay mein madad karta hai. Potassium se bharpoor ghizaon ki miqdar mein izafa blood pressure ko kam kar sakta hai, jis se dil ke doray aur falij ko roknay mein madad milti hai.
Diabetes
Strawberry ka istemaal glucose ko hazam karnay ke amal ko sust aur insulin ke istemaal ko mutadil karta hai, khas tor par jab woh zyada carbohydrate wale khanay ke sath khai jayen. Strawberry mein mojood polyphenol type 2 diabetes ke asraat ko behtar karnay mein muawn hota hai. Khas tor par, woh blood sugar ko control aur blood pressure ko munazzam karta hai.