Lagta hai ek Registrar to mujh jaise Judge se bhi zyada taqatwar hai: Justice Qazi Faez Isa.
Court mein muqadamat samaat ke liye maqarrar karne ka kya tareeqa kar hai? Iss mamlay par Justice Qazi Faez Isa aur Justice Yahya Afridi ne notes le liye hain. Iss silsile mein remarks dete hue Justice Qazi Faez Isa ka kehna hai ke lagta hai ke ek registrar toh mujh jaisay judge se bhi zyada taqatwar hai.
Adalat-e-Azim ne registrar Supreme Court ko tamam record samaet fori tor par talab kar liya. Justice Qazi Faez Isa ne remarks mein kaha ke main Supreme Court ka judge hoon, 5 saal tak Chief Justice Balochistan High Court bhi rah chuka hoon, hum chahte hain ke shafaafiyat honi chahiye, agar registrar case aik se dosray bench mein laga de toh shafaafiyat kaise hogi.
Unhon ne kaha ke lagta hai ke ek registrar to mujh jaise judge se bhi zyada taaqatwar hai, mein 2010 ke case nahi sun sakta kyun ke cases registrar sunne ke liye muqarrar karta hai.
Justice Qazi Faez Isa ne istafsar kiya ke kya mein phone kar ke registrar ko ye keh sakta hun ke falan case falan bench mein laga dein?
Registrar Supreme Court ne jawab diya ke Chief Justice Pakistan ki manzoori se hi muqaddamat sunne ke liye muqarrar hote hain.
Justice Yahya Afridi ne istafsar kiya ke sawal ye hai ke bench mein Justice Hasan Reza Rizvi Sahib thay, bench kyun tabdeel hua? Cases fix karne ka kya tareeqa hai?
Sabiq Sadar Supreme Court Bar Amanullah Kanrani ne adalat ko bataya ke log pouch pouch kar thak gaye hain lekin hamare cases nahi lagte.
Justice Qazi Faez Isa ne registrar se istafsar kiya ke muqaddamat muqarrar karne ki kya policy hai? Adalat ne 2 April 2022 ko registrar ko hukam diya tha ke muqaddamat muqarrar karne ka tareeqa kar tay ho, registrar office mein muqaddamat fix karne se mutaliq shafafiyat naam ki koi cheez nahi hai.