Aarmi Chief se mulaqat, business community ka etmaad barha, Aarif Habib
Karachi Karachi (TV report) Geo ke program “Aaj Shahzeb Khanzada ke saath” mein guftagu karte huay maroof karobari shakhsiyat Aarif Habib ne kaha hai ke army chief aur wazir-e-khazana Ishaq Dar se mulaqat ke baad business community ka etmaad barha hai.
Senior sahafi aur tajzia kar Asma Sherazi ne kaha ke PTI hukumat iss waqt intikhabat mein jaye to barhti mehngai ki wajah se awaam ka samna karna mushkil hoga.
Senior tajzia kar Maneb Farooq ne kaha ke hukumat ke paas subai intikhabat mein takheer ka koi qanooni option nahi hai.
Maroof karobari shakhsiyat Aarif Habib ne kaha ke army chief aur wazir-e-khazana Ishaq Dar se mulaqat ke baad business community ka etmaad barha hai, business community ko bataya gaya tha ke IMF ki tamam peshgi shara’it poori karli gayi hain, umeed hai jald hi IMF program ki bahaali ka elaan hojaega, hamein bataya gaya dost mumalik se financing hasil karne ke liye kaam shuru hogaya hai.
Senior sahafi aur tajzia kar Asma Sherazi ne kaha ke Maryam Nawaz pehle ehtesab phir intikhab ka nara lagarahi hain, hassas idaroon ki report ke mutabiq PMLN ki qayadat ko khatrat hain, hukumat ka Punjab aur Khyber Pakhtunkhwa mein intikhabat karwane ka irada nazar nahi aarah hai, PTI bhi aisi shara’it rakhna chahti hai jis se intikhabat ka inehqaad mumkin na ho.
Asma Shirazi ka kehna tha ke Imran Khan ke khilaf Toshakhana, foreign funding aur Mubeena Beti se mutaliq cases mein bohat jaan hai, Imran Khan ki giriftari ki sorat mein party leader kaun kare ga yeh sab se bara sawal hai.
Senior tajziya kar Maneeb Farooq ne kaha ke hakumat ke paas sooba’i intekhabat mein takheer ka koi qanooni option nahi hai, hakumat ne intekhabat mein takheer ke liye Supreme Court mein qanooni nukat nahi pesh kiye, Imran Khan ko ab tak adalaton se bari gunjaish mili hai, Noon League aur Maryam Nawaz jo chahti hain aisa hota nazar nahi araha, Imran Khan is waqt establishment ki right side par nahi hain, koi leader kitna bhi maqbool ho establishment ki rang side par ho to uska iqtedar mein ana mushkil hota hai.