Achanak naak se khoon nikalna ya naksir phootna

Achanak naak se khoon nikalna ya naksir phootna



Aam taur par kuch logon ke saath aisa hota hai ke bethey bethey unki naak se khoon behna shuru hojata hai, jise arfa aam mein “Nakseer phootna” bhi kehte hain. Zyada tar mamlaat mein naak se khoon behna fikr ki baat nahi hoti, lekin agar aap logon ke darmiyan hain toh yeh khauf, pareshani ya sharmindagi ka sabab bhi ban sakta hai. Waise toh naak se khoon behna kisi bhi waqt hosakta hai, lekin sardiyo mein aisa hone ka imkan zyada hota hai.


Dinor, Colorado mein qaim Saint Luke Medical Center aur Skyline Primary Care mein Family Practitioner David Honda ka kehna hai ke “Mausam sarma ek khushk aur thanda mausam hai, jo naak ke andar se zyada pareshani paida karta hai. Is ke alawa, jab mausam garm chal raha ho toh ghar ke andar ki hawa bhi zyada khushk ho jati hai. Is ki wajah se, hum nathnon ke andar ki balghami jhilliyan (mucous membranes) ke zyada khushk honay aur tootnay ko samait lete hain”.


Zyada tar khoon ka ikhraaj naak ke agle hisse ke qareeb chhoti rag se hota hai aur nisbatan mamooli hota hai. Aisa bohat kam hota hai ke is mein naak ke peechlay hissay mein mojood khoon ki bari shariyaniyan shamil hon. Naak se khoon behnay wali dusri qisam zyada sangeen hoti hai aur is mein fori tibbi imdad ki zaroorat hoti hai. Yeh aise afrad ko lahaq hoti hai, jin mein khoon behnay ki kharabi (bleeding disorder) ya naak ki shariyaniyan sakht hoti hain.



Nak se khoon aane ka zyada imkaan kis mein hai?


Waise to kisi bhi shakhs ke nak se khoon beh sakta hai, lekin kuch logon mein aisa honay ka imkaan zyada hota hai.


  • 2 se 10 saal ki umr ke bachay
  • Darmiyan-e-umr aur bari umr ke afraad
  • Hamila khawateen
  • Khoon jumne ki kharabi ke hamil afrad
  • Woh log jo aisi dawayen lete hain, jo khoon jumne mein muaawin hoti hain
  • Nazla, allergy ya sinusitis mein mubtala logon ke nak se khoon aane ka bhi zyada imkaan hota hai


Professor Honda kehtay hain, ”agar kisi ko zukam ya oopri saans ki kisi qisam ka infection ho raha hai, to usay hafton baad nak se khoon aane ka zyada khatra hota hai jab tak ke nak ki androni part pehlay ki tarah na hojaye”.


Nak se khoon behnay ki degar wajohaat mein shamil hain:


  • Nak mein ungli daalna
  • Baar baar nak behna
  • Safai ke samaan, dhoyen ya saans mein li jane wali adwiyaat se kemiai jalan
  • Bulandi par qayam, jahan hawa kam aur khushk hoti hai
  • Nathnon ke darmiyan pardah ka aik janib hojana
  • Bhari nak ke liye nasal spray ka kathrat se istemaal.



nakseer photnay se kaisay bachchen ?


aap apni naak ki parat ko nami aur sehat mand rakhnay mein kis terhan madad kar satke hain :


ہیومڈیفائر istemaal karen : ہیومڈیفائر ( humidifier ) khushk sun-hwa mein nami barqarar rakhtay hain, basorat deegar naak aur gilaay ki sun-hwa ki naalian khushki se sooj jati hain. ہنیڈا kehte hain,’ ‘ woh waqai madadgaar saabit ho satke hain, khaas tor par jab aap so rahay hon’ ‘ .


namkeen spray par zakheera karen : ہنیڈا naak ke khushk hisson ko num karne aur khushk honay aur totnay se bachanay ke liye سیلائن ( namkeen pani ) نیزل spray istemaal karne par zor dete hain. woh tajweez karte hain,’ ‘ pharmacy se سیلائن spray ki bottle khareedain aur usay sardiyoon mein har roz istemaal karen’ ‘. is se allergy ki alamaat aur behti hui naak mein bhi behtari askati hai .


tambaku noshi se parhaiz karen : tambaku noshi se naak mein jalan aur khushk honay ka rujhan hota hai. tambaku noshi kam karne ya mukammal tor par chorney ki koshish karen .


jhilion ko num karen : pani mein ghulne wala jail ya petroleum jelly ki aik teh ko roi ki madad se nathnon ke oopar laganay se bhi khushki se bachney mein madad mil sakti hai .


pani piyen : is baat ko yakeeni banayen ke aap ziyada se ziyada pani pi rahay hain .


Nak se khoon rokne ke tariqe:


Agar kisi ki nak se khoon aata hai, to aise mein zail mein darj-e-aqdaamat kiye jasakte hain.


Seedhe baithiye aur apna sir thoda sa aage jhukaiye (peeche nahi, jaisa ke aapne pehle sun rakha hoga). Agar khoon aap ke gale se neeche girata hai, to aap ko bechaini ya ultee ho sakti hai.


  • Apni nak aahista se sunkain, iss tarah jama hua khoon bahar nikal jayega.
  • Nak ke naram hisse ko apne ungli aur shahadat ki ungli ke darmiyan mazbooti se kam az kam 5 minute tak dabaaiye (honda 10 minute tajweez karte hain).
  • Kam az kam 5 minute tak sukoon se apne munh se saans lein aur yeh fikr karna chor dein ke aya khoon behna band hua hai ke nahi. Agar aap jaldi karte hain to mumkin hai ke khoon ab bhi beh raha ho.
  • Agar yeh amal karne ke baad bhi khoon beh raha ho to apne nathnon ko mazeed 10 minute ke liye dabaaye rakhiye.
  • Jis nathne se khoon nikal raha hai uss mein digestive spray karne se madad mil sakti hai, iss ke baad 5 se 10 minute mazeed nathnon ko daba kar rakhiye.


Jab khoon behna band hojaye to us ke baad jhukne, zor dene ya kisi bhi bhari cheez ko uthane se gurez karein. Kayi dino tak apni nak na sunkain aur na ragrein. Nak ko theek hone ke liye waqt darkaar hota hai.



Agar naak se khoon behnay ki sorat mein darj zail mein se koi bhi baat ho toh hengami imdaad haasil karein:


  • Nathnon ko 15 se 20 minute tak band rakhne ke baad bhi khoon na rukay.
  • Taizi se ya ek cup se zyada khoon behna.
  • Chakkar aana, halka sar dard hona, saans lenay mein dushwari ya dil bhagta hua mehsoos hona.
  • Saans lenay mein dushwari.
  • Khoon nigalnay se qay aana.
  • Sar ki chot lagnay ke baad naak se khoon nikalna.


Professor Hinda ka kehna hai ke agar haftay mein teen se chaar baar aap ki naak se khoon beh raha hai toh aap ko mualij se rajoo karna chahiye.

Leave a Comment