Dil ke douray se bachao mumkin, agar in alamat par ghaur kar lein

Dil ke douray se bachao mumkin, agar in alamat par ghaur kar lein

Kehtay hain ehtiyaat ilaaj se behtar hai, agar baat dil ki bimariyon ki ho to hamein mazeed mohatatt ho jana chahiye kyunki duniya bhar mein har saal lakhon afrad ki maut dil ka dora parnay se hoti hai.
Dil ka dora, jise myocardial infarction kaha jata hai, is waqt parrta hai jab dil ki shariyani dil ke pathon ko zaroorat ke mutabiq khoon, oxygen aur ghizaai ajza faraham nahi kar pati hain.
Dil ka dora achanak nahi parrta balke kayi intebahi alamaat aisi hain jo hum dil ka dora parnay se pehlay dekh saktay hain, khaas tor par 60 saal se baray afrad mein in intebahi alamaat ki wajah se baroqat ehtiyaati tadabeer ikhtiyar kar saktay hain.
Bas hamein apnay jism par tawajah dene ki zaroorat hoti hai aur mamooli dard ko mamooli samajh kar nazar andaz nahi karna hai. Agar darj zail alamaat nazar aayen to fori ehtiyaati tadabeer ikhtiyar karna hai:

Ghair mamooli thakawat.

Ghair mamooli had tak jismani thakawat dil ke doray ka intabah zahir karti hai, yeh aik aisi alamat hai jo taqreeban 70% dil ke amraz mein mubtala khawateen aur khawatin dono mein kayi haftay pehle hi zahir hojati hai.
Agar aap ko mehsoos honay wali thakawat ki wajah koi jismani ya zehni sargarmi na ho aur din kay ikhtatam tak is thakawat mein izafa hojaye to yeh dil ke amraz ki wazeh alamat ho aur aap ko fori tor par is par tawajah dene ki zaroorat hai.

Saansein lenay mein mushkilat

Agar aap kabhi koi aisi sargarmi anjaam dene mein mushkil mehsoos karen jis mein aap aam tor par achay hotay hain aur saans lenay mein mushkil ka samna karna parta hai, to yeh dil ke doray ki intabahi alamat hosakti hai.
Dorna ya seerhiyan charhnay jesi aam sargarmiyan anjaam daina bhi aap kay liye mushkil hosakta hai aur aap ko chakkar aasaktay hain aur mumkin hai ke aap behosh hojayein.

Dil ki dhadkan mein be tarteebi,

Sans mein dushwari ke sath hi dil ki dhadkan mein bhi be tarteebi mehsoos kar sakte hain. Khas tor par khawateen mein dil ki dhadkan mein be tarteebi, pink attack aur zehni be chaini ke sath hamla aawar hoti hai.
Agar dil ki dhadkan mein taizi ek se do minute tak barqarar rahe aur iss mein kami na aaye, iss ke alawah dhadkan ki raftaar mein kami beshi se ghushi aur thakan ka mehsoos hona iss baat ki alamat hai ke doctor se rajoo karna chahiye.

Behosh hona

Tibbi mahireen ke mutabiq agar aap baghair kisi intabaahi alamat ke achanak behosh ho jate hain toh yeh iss baat ki alamat hai ke aap ko fori tibbi madad ki zaroorat hai.
Woh afrad jo 50 aur 60 saal ki umar mein seene mein kisi qisam ki takleef, tezabiat ya gastriatis ka shikar hote hain toh unhe chahiye ke woh fori tour par mualij se rajoo karke apna ECG scan karwayen.

Sine mein dard

Aam tor par 60 saal se zyada umar ke afraad dil ki bemariyon ka zyada shikaar hote hain. Tibi mahireen ke mutabiq, danton ke jubde se le kar naaf ke darmiyan tak aap jo bhi dard mehsoos karein usay sanjeedgi se lein, yeh dil ke amraaz ki alamat hosakta hai, khas tor par is waqt jab aap ko yeh dard pehle kabhi nahi hua ho.
Yeh dard jismani sargarmi ke saath barh sakta hai ya pasine, matli aur chakkar aana jaisi degar alamat se mansoob ho sakta hai. Blood pressure mein izafa ya kami hosakti hai, jo aam tor par sine ke dard ke doran mehsoos hota hai.
Jism ke mukhtalif hisson mein dard
Jism ke mukhtalif hisson mein dard mehsoos hona khas tor par maida mein dard, dil mutalana, pait phulne ya motion wagaira mutadad aam alamat hain.
Dil ke doray ki ek aur alamat esa dard hai jo sine ke baayein hissay se shuru hota hua neechay ki janib jata hai, lekin aksar mareezon ko is dard ka ehsaas haath mein hota hai.
Agar sine ke darmiyan dard ya dabao ka ehsaas ho jo gale ya jubde ki janib phail jaye to yeh heart attack ki alamat hosakta hai.

Sar chakrana

Waise to sar chakrane ki mukhtalif wajuhat hosakti hain taham agar aap ko achanak larkharaht ka ehsas ho jis ke sath seenay mein takleef ya saans lenay mein mushkil ho to fori doctor se rabita karein. Mahreen ke mutabiq aisa honay ka matlab blood pressure taizi se girna hota hai kyunke dil mamool ke mutabiq pump karnay se qasir hota hai.

Matli aur qay

Aarzi qalb mein mubtala afraad ko seenay mein dard ke sath matli aur qay ki shikayat taqreeban rozana ki bunyad per hosakti hai.

Iztarabi kifiyat

Iztarabi kifiyat ka shumar bhi heart attack ki aam alamat mein kya jata hai. Dil ke dore ki wajah se iztarabi kifiyat ziyada shiddat se mutasir kar sakti hai.
Ghair mamooli khansi
Na rokne wali khansi beshtar waqiat mein dil ke amraz ki nishani nahi hoti, taham agar aap pehle hi amraz-e-qalb ka shikar hain to phir zaroor khatray ki ghanti hai. Agar aap ki khansi bohat ziyada der tak barqarar rahey jis se safed ya gulabi balgam kharij ho to yeh heart failure ki nishani hoti hai.
Apne dil ko sehatmand kaise rakhein?
Ek shakhs jis ko pehle hi dil ka dora par chuka ho usay dusre dore se bachao ke liye khaas ehtiyat ki zaroorat hoti hai, jo dawai ke zariye ki ja sakti hai.
Woh afrad jo adwiyaat ka istemaal nahi karte unhein chahiye ke dil ke dore ke digar aulaad jaise ziyabeteis aur high blood pressure par qaboo payein. Is ke alawa cigarette noshi se parhez karein.
Agar aap motape ka shikaar hain to aap ko wazan mein kami karne ki zaroorat hai. Is ke sath apne tariq-e-zindagi ko bhi behtar banaen aur ghiza se bharpoor khana ka istemaal karein. Darja buland alamat zaahir hone ki surat mein fori tibbi mahireen se rabita karein.

Leave a Comment