Mosam-e-sarma mein influenza ka phailao aur is se bachaao

 Mosam-e-sarma mein influenza ka phailao aur is se bachaao

COVID-19 wabai mareez ke ibtedai dor mein khayaal kiya jata tha keh yeh virus mobile phone se le kar darwazon ke handle aur anaaj ke dabon se chumta hua hai, iss liye unhein chhone se jitna zyada parhez hosakta hai, kiya jaye. Lekin baad mein research se pata chala keh aisa nahi tha.

Sehat-e-aam ki rehnumai ke bawajood ke COVID-19 ke phailaao ko rokne ke liye surfaces ko jaraaim se paak rakha jaye, research yeh batati hai keh yeh virus be-jaan surfaces aur ashiya ke zariye numaya tor par muntaqil nahi hua. Flu se le kar aam zukaam tak, saans ke tamam aqsam ke virus hawa ke zariye phelte aur aik se dosre shakhs ko muntaqil hote hai

Rutgers New Jersey Medical School mein microbiology ke Goldstein naam ke professor pehle scientists mein shamil thay jinhon ne rutbaati hikmat ko challenge karte hue mutanabbi kya keh hifzan-e-sehat ke liye surfaces ki had se zyada jaraaim kashi se sehat-e-aamah ke liye khatraat barhah sakta hai. America mein sehat-e-aamah ke zimmedar idaray “CDC” ne April 2021 mein apni research mein iss baat se ittefaq kya. Goldstein ek baar phir virus ke khatron ki ghanti baja rahe hain. Unka haaliya kaam laboratory mein jaanch ki nakamiyon aur wabai mareez se nikalne ke science par mabni raste ki vakalat karta ha

Prof. Gold min kehtay hain ke “Sans ke zariye phailnay walay virus jaisay COVID-19 band mahol mein phailtay hain, is liye COVID-19 jaisay waba’i marz ka muqabla karne ke liye haathon aur darwazoon ke handle sanitise karne ke bajaye insani sehat ke liye be-zarar air sanitizer ke zariye isay khatam karna behtar aur moaser tareeqa sabit ho sakta hai. Aisa air sanitizer nah sirf hawa ke zariye phailnay walay virus balkay be-jaan surfaces par maujood virus ko bhi khatam kar sakta hai.”

Sardiyon mein influenza se kaise mehfooz rahen?

COVID-19 ke baad yeh baat ab har koi janta hai ke influenza bhi hawa ke zariye aik se dosray shakhs mein muntaqil hota hai. COVID-19 ke pehle saal ke douran jab takreeban har shakhs mask pehn raha tha, iss waqt influenza phailnay ki sharah takreeban zero thi. Agar influenza be-jaan surfaces ke zariye phailta toh aisa nah hota.

Kya flu vaccine lagwana zaroori hai?

Mahireen ka kehna hai ke COVID-19 wabai marz mosam-e-sarma mein ek baar phir nayi shiddat pakar sakta hai, aisay mein logon ko influenza se mehfooz rehne ke liye flu shot zaroor lagwana chahiye takay aanay walay mahinon mein sehat ke nizam par zyada dabao na aaye. Unka kehna hai ke COVID-19 lockdown, samaji doori aur mask pehnne ki pabandiyan ke khatmay ke baais is saal flu ke cases mein izafa hosakta hai.

America mein sehat ke zimma dar adare “Centers for Disease Control and Prevention” ke mutabiq saal 2021-2022 ka flu season kam khatarnak sabit hua tha kyun ke guzishta saal A(H3N2) virus phela tha, ise guzishta saal ki vaccine mein shamil kia gaya tha aur is saal bhi shamil kia ja raha hai. Adare ke ibtedai adad-o-shumar ke mutabiq, guzishta saal America mein 80 lakh se le kar ek crore 30 lakh influenza ke cases report hue, un mein se 80 hazar ta ek lakh 70 hazar mutasirah mareezon ko hospital mein dakhil karane ki zaroorat pari jab ke amwaat ka taksimna paanch se le kar 14 hazar ha

Kaun log flu shot lagwa sakte hai

Amriki CDc ke mutabiq, chhay mah ke bachon se le kar bari umar ke tamam afraad ko flu shot ki zaroorat par sakti hai aur ek flu shot chhay mah tak moassar rehta hai. Agar aap ne saal ki ibteda mein flu shot lagwaya hai toh mumkin hai ke abhi tak woh apna asar kho chuka ho. Tabiibeen October ke akhir mein flu shot lagwane ki tajweez dete hain. Kuchh bachon ko ibtedai flu shot ke baad booster ki zaroorat paish ho sakti hai lekin is ke liye doctor se mashwara karna intehai zaroori hai.

Haath dhoney ki ahmiyat

Yaqeenan, saans ke zariye phailne walay virus hi duniya mein waahid buri cheez nahi hain. Darasal, viral virus aur bacterial se phailne walay aur bhi kayi bimariyan hain, jo bay jaan satahon se ek shakhs mein muntaqil hosakti hain. Walidain apne bachon ko sikhatay hain ke khana tayyar karte waqt ya khana shuru karne se pehle haath dhoyen, bathroom istemal karne ke baad haath dhoyen aur kisi bhi gandi cheez ko haath lagane ke baad haath dhoyen. Is liye yeh kehna ke COVID-19 ne humein haath dhoney ki ahmiyat batayi hai, ghalat hoga. Log haath dhoney ki ahmiyat se pehle bhi ba-khabar thay. 

Kia COVID-19 vaccine aur flu shot ek hi waqt mein lagwaya jasakta hai?

Ibtida mein CDC ne COVID-19 vaccine aur flu shot ke darmiyan do haftay ka farq rakhna tajweez kiya tha kyunkay woh nayi vaccine ke rad-e-amal ko jaanch raha tha, taham use koi manfi rad-e-amal nazar nahi aaya. Ab CDC ka kehna hai ke zaroorat ke mutabiq koi bhi shakhs chahe to dono vaccine ek hi waqt mein lagwa sakta hai aur iska kisi bhi vaccine ki afadiyat par koi farq nahi padta.

Leave a Comment