Multan Sultans ka T20 ki tareekh ka doosra bara kaamyaab tanaqqub
Pakistan Super League (PSL) 8 ke 27ven match mein Multan Sultans ne T20 ki tareekh ka doosra bara hadaf kamyabi se tanaqqub kar liya. Guzishta saal Bulgaria ne bhi Serbia ke khilaf 243 runs ka hadaf aboor kiya tha jabke T20 ki tareekh ka sab se bara kamyab tanaqqub 244 runs ka hai jo Australia ne New Zealand ke khilaf 2018 mein hasil kiya tha.
Rawalpindi cricket stadium par Multan Sultans ne Peshawar Zalmi ke hi khilaf do din qabal ki Quetta Gladiators ki tareekh phir dahradi. Peshawar Zalmi jinhon ne Quetta Gladiators ko 241 runs ka hadaf dia tha jo hareef team ne 10 gaindon par qabal hasil karlia tha.
Aaj Babar Azam ne Multan Sultans ko 243 runs ka hadaf dia jo usne 6 wickets par 5 gaindon qabal hasil karke fatah apne naam karlia.
Riley Russo ne tez tareen nisf century ka record barabar kar dia.
PSL ki tareekh ka ye sab se bade hadaf ka kamyab tanaqqub hai, Multan Sultans ne is fatah ke sath hi event ke playoffs ke liye qualify karlia hai.
Aaj ki jeet ke sath Multan ke mukamal points 10 hogaye hain jabke is ka aakhiri league match kal Quetta Gladiators ke khilaf hai.