Nazla zukam ka ilaj: Khana peena mein ehtiyaat

Mulk bhar mein sardi ki aamad aamad hai. Hattay kay Karachi mein bhi raat kay waqt darjah hararat mein kami honay lagi hai. Is tarah mein logon ko nazla zukam honay ka khauf tari ho jata hai kyun kay aaloodgi aur mosam khushk honay say aam taur par nazla zukam ki shikayat honay lagti hai. Bachay, baray sab hi is say pareshan dikhayi detay hain. Nazla zukam kay sath sar dard, sardi lagna, bukhar, jism mein dard, khansi aur naak behna tabiyat ko bojhal aur naqahat tari kar deti hai.

Is tarah mein insaan ko bharpoor ghizaaiyat ki zaroorat hoti hai takay nazla zukam kay virus say larnay kay liye zaroori taaqat hasil ho sakay. Doctor is zamana mein yakhni, soup, joshanda aur degar faida mand ghizaon kay istemaal ka mashwara detay hain, sath hi kuch cheezon say parhez bhi batatay hain kyun kay in ki wajah say nazla zukam theek honay ka dorania taweel ho sakta hai. Agar aap nazla zukam kay doran parhez karnay walay ghizaon ko khane peenay say ijtenab karain gay to jald hi iss marz say chutkara hasil kar payen gay.

Doodh say bani ashya.

Purani kahawat hai ke doodh aur us ki masnuaat jism mein zyada balgham peda karte hain. Tahaam, yeh sach hai ke kuch logon ke liye doodh balgham ko gara bana sakta hai aur is ko zyada deer tak qaim rakh sakta hai. Is liye agar doodh peenay se aap ke seenay mein zyada jakran (congestion) ho rahi hai to is se parhez karna hi danishmandi hai. Lekin agar nazla zukam nahin hai to doosri bimari mein doodh aur dahi jaisi cheezon ke istemaal se faiday hasil ho saktay hain. In dono mein protein aur vitamin D maujood hote hain jo aap ke jism ko infection se ladne mein madad faraham karte hain. Dahi mein probiotics hote hain, jo good bacteria ko tawazun mein rakhnay mein madad faraham kar saktay hain.
Pait ki kharabi mein mubtala zyada tar log chawal aur toast ki bajaye masala daar aur ghizaiyat se bharpur khorak khanay se parhez karte hain. Is hikmat-e-amali ka manfi pehlu yeh hai ke refined carbohydrates jism mein ja kar sugar ki shakal mein jaldi se tut jatay hain, natijatan khoon ke andar glucose ki miqdar mein izafah ho jata hai aur thori hi deer mein dobara bhuk mahsoos honay lagti hai. Aisay hi carbohydrates bhi sozish ke sath wabasta hain, jin se har qeemat par aap ko parhez karna chahiyay. Jab aap bimar hon to sabit anaj (safed aata nahin) ya brown rice par guzara karein, yeh aap ko jaldi bhuk nahin lagne dengay.

Gosht

Nazla zukam se ladte hue apni taqat ko barqarar rakhne ke liye protein lena lazmi hai aur yeh gosht mein bohat zyada paya jata hai. Taham, iss mein bohat saari charbi bhi hoti hai, jise hazam karna mushkil ho jata hai. Kuchh mahireen ka mashwara hai keh janwaron ki charbi aap ke jism ke un jiraseemoun ko nikalne ki salahiyat mein kami laati hai, jin se nazla zukam hota hai aur iss wajah se aap ko alamat ka samna zyada arsey tak karna parta hai. Apni protein ki zaroorat ko andon, daal, chane, phaliyon, gari daar mevay, soyabeen aur chawal se hasil karna behtar hai.
Fast Food
Chickenai wali cheezon jaise chips, french fries, burger aur pizza mein bohat sarey trans fat ya sabziyon ka tail hota hai. Yeh jismani tor par shadeed sozish ka sabab bante hain aur mudafiat-e-nizam barhne se rokte hain. Chickenai wala khana hazam karna mushkil bhi hota hai aur yeh matli ke ehsas mein izafa kar sakta hai. Jab aap ko mehsoos ho keh aap ko waqai khana khana hai toh iss qisam ke snacks se parhez karein aur protein wali ghizaon se shikam par karein.
Nazla zukam ke doran bohat zyada meethi ya cheeni wali ghizaen khana pareshani ka baais ban sakti hain kyunki in se sozish (inflammation) hoti hai. Meethi ashya se balgham ka ikhraaj mushkil hojata hai, jo garam aur nam mahol ki aik qisam hai, iss mein nazla zukam ka virus rahta hai. Sozish jism ke infection ko khatam karne wale safaid khoon ke khelon ko bhi kamzor kar sakti hai. Agarcha adrak ka qahwa nazla zukam mein faida deta hai, taham usse baghair cheeni ke nosh farmane se zyada afaqa ho ga.

Caffeine

Har shakhs ko bimari mein bohat saara paani peena chahiye. Paani ki kami yaani de-hydration bhi nazla zukam ka baais banti hai. Nazla zukam mein honay wale bukhar ki wajah se pasina anay aur bar-bar peshab honay se paani ki kami ho sakti hai. Lihaza na sirf ezafi paani peenay ki zaroorat hoti hai balkay caffeine ki surat mein mashroobat lenay se bhi parhez karna chahiye kyunki iss ki wajah se zyada peshab aasakta hai. Kaha jata hai ke caffeine dehydration ka sabab banata hai, taham iss par abhi tahqeeq jari hai. Bar bar baitul khala janay se behtar hai ke caffeine wale mashroobat peenay se gurez kiya jaye aur zyada se zyada araam kiya jaye kyunki yeh nazla zukam theek karne ke liye zaroori hai.

Nazla zukam mein mufeed ghizaen.

Chicken soup/yakhni: Nazla zukam par qabu panay ke liye chicken soup ya yakhni behtareen intikhab hosakta hai. Tehqeeq se maloom hota hai ke sabziyon ke sath tayyar kiya gaya soup ya murghi ki yakhni jism mein neutrophils ki naqal o harkat ko sust kerti hai. Ek aur tehqeeq se sabit hota hai ke chicken soup upper respiratory infection ki alamat ko bhi kam karne mein moaser sabit hota hai.
Adrak: sehat ke liye adrak intehai mufeed aur sadiyon se azmuda hai. Khansi aur nazla zukam honay ki surat mein ek chammach shehad mein adrak ke ras ke chand qatray khanay se afaqa hota hai.
Lehsan: is mein allicin namak murakkab mojood hota hai, jis mein anti-microbial khusoosiat pai jati hain. Tehqeeq ke mutabiq lehsan ka baqaida istemal nazla zukam ke hamlay ko zail kerta hai.

Leave a Comment