Pak-Afghan T20 Series, Shahin Afridi ko captain banane ka imkaan
Rawaan mah Pakistan aur Afghanistan ke mabeen Sharjah mein 3 T20 matches ki series kheli jayegi, iss series ke liye Pakistan Cricket Board naye khilaadiyon ko mauqa dene ki mansooba bandi kar raha hai.
Mustaqbil ke liye mazboot aur mutawazin team ki tashkeel dene ke liye PCB ne Pakistan Super League 2023 mein shaandaar karkardgi ka muzahira karne wale nojawan aur basalaahat khilaadiyon ko mukhtasar format ki T20 cricket mein aazmane ka faisla kiya hai.
Afghanistan ke khilaaf 3 T20 matches ki series Sharjah mein 24, 26 aur 27 March ko kheli jayegi, jis ke liye Qaumi Selection Committee ke sarbarah Haroon Rashid aane wale kuchh roz mein squad ka elaam karenge.
Taham zaraa’at ke mutabiq Afghanistan ke khilaaf series mein captain Babar Azam, wicketkeeper Mohammad Rizwan samt kayi khilaadiyon ko aaraam dene ki tajweez pesh ki gayi hai jabke team ki qayadat ki zimmedari baayein haath ke fast bowler Shaheen Shah Afridi ko diya jaane ka qawi ehtimaam hai.
Yaad rahay ke Pakistan Super League (PSL) mein Shaheen Shah Afridi ne bator captain Lahore Qalandars ke liye behtareen salahiyaton ka muzahira kiya hai.
Afghanistan ke khilaf T20 series mein Pakistan squad mein teen wicket-keepers Hasil Ali (Peshawar Zalmi), Azam Khan (Islamabad United) aur Mohammad Haris (Peshawar Zalmi) ko shamil kiye jane ki tawaqqa hai.
Is ke alawa Pakistan Super League 2023 mein shandar kar-kardagi se sab ki tawajoh hasil karne wale Peshawar Zalmi ke Saheem Ayub, Multan Sultans ke fast bowler Ehsanullah aur Islamabad United ke all-rounder Fahim Ashraf kisath Karachi Kings ke captain Imad Wasim ki qomi team mein wapsi ka qawi imkaan hai.