PSL 8: Qualifier mein Qalandars ko Shikast, Sultans Final mein
HBL PSL 8 ke Qualifier mein Multan Sultanz ne Lahore Qalandarz ko shikast de kar musalsal teesri martaba event ke Final ke liye qualify kar liya. Multan Sultanz ki janib se diye gaye 161 runs ke hadaf ke taqub mein Lahore Qalandarz ki team sirf 76 runs par all out ho gayi.
Qaddafi Stadium Lahore mein khelay gaye is match mein Multan Sultanz ne toss jeet kar pehle batting karne ka faisla kia.
Sultanz ke baley baazon ne muhtat khel ka muzahira kia aur power play mein bghair koi wicket ganwaye 46 runs banaye.
Aisay mein Lahore Qalandars ne Haris Rauf aur Rashid Khan ki zabardast gendbaazi ki badolat wapsi ki.
Haris Rauf ne 53 ke majmooay par guzishta match ke Sancharin Usman Khan Shinwari ko bold kia, unhon ne 29 runs ki innings kheli. Un ke baad event ke ek aur Sancharin Riley Russo sirf 13 runs ke mehman thahre, unhen zaman Khan ne catch out karwaya.
90 ke majmooay par Rashid Khan ne event mein sab se zyada runs banane wale Muhammad Rizwan ko bold kardia, Rizwan ne 33 runs banaye.
Sultanz ka score 15 overs ke ikhtitam par jab 97 runs tha, aisay mein Kieron Pollard ne 34 gaindon par 57 runs ki innings khel kar team ke total ko 150 ka hissa aboor karwaya.
Akhirii over mein Kirron Pollard aur Khushdil Shah ko Haris Rauf ne bold karke Sultans ke score ko break lagayi. Sultans ke team deed 22 runs ke saat naa qabil-e-shikast rahe.
Multan Sultans ne muqarrar 20 overs mein 5 wickets ke nuqsaan par 160 runs banaye.
Lahore Qalandars ki taraf se Haris Rauf ne 3 wickets liye jabke Rashid Khan aur Zaman Khan ne ek ek khiladi ko out kiya.
Haddaf ke taqab mein Lahore Qalandars ke batting line bikhar gayi, Sultans ke nojawan bowling attack ke samne Qalandars ka koi bhi khiladi jam kar na khel saka.
Lahore Qalandars ka koi bhi batter 20 ke hindsay ko bhi na chhuu saka. Seam bowlers 19 runs ke saat top scorer rahe jabke Haris Rauf ne 15 aur David Wiese ne 12 runs ki innings kheli.
Multan Sultans ki janib se Shadab Khan ne tabah kun bowling ka muzahira karte hue 3 khiladiyon ko out kiya. Osama Mir ne do jabke Anwar Ali, Ehsanullah, Abbas Afridi aur Khurram Manzoor ne aik aik wicket li.
Behtreen batting aur bowling performance par Khurram Manzoor ko match ka behtreen khiladi qarar diya gaya.
Toss ke mauqe par guftugu karte hue Multan Sultans ke captain Mohammad Rizwan ka kehna tha ke Qalandars ke khilaf apni behtareen team khelane ki koshish ki jayegi.
Lahore Qalandars ke captain Shaheen Shah Afridi ka kehna tha ke hum bhi pehle batting karna chahte the. Aakhri match mein nojawan khiladiyon ko mouqa diya tha.
Lahore Qalandars ki team ne group matches mein 14 points ke saath top kiya tha jabke Multan Sultans ki team 12 points aur behtar run average ke baa’is poi nts table par doosri position par rahi.
Playing 11:
Mohammad Rizwan ne Multan Sultans ki captaincy ki jabke doosre khiladiyon mein Usman Khan, Riley Russo, Khurram Manzoor, Tom Abell, Khushdil Shah, Anwar Ali, Osama Mir, Abbas Afridi, Shahnawaz Dhani aur Ehsanullah Shah shamil the.
Shaheen Shah Afridi ki qayadat mein maidan mein utrne wali Lahore Qalandars Fakhar Zaman, Tahir Hussain, Abdul Wahid, Seekuge Prasanna, Hussain Talat, Skinder Raza, Devdutt Padikkal, Rashid Khan, Haris Rauf aur Zaman Khan par mushtamil thi.