Rozana sabz chai peenay ke fawaid

 Rozana sabz chai peenay ke fawaid

Sabz chai ko koi hazmay ke liye mufeed hone ki wajah se pasand karta hai to koi wazan kam karne ki khasosiyat ke baais jab ke bohat sare log ise zaiqa ki wajah se bhi pasand karte hain. Sabz chai mashroob ke tor par bohat se afraad ka awaleen intikhab hoti hai. Isay istemal karne walon ki bari tadad is ke fawaid se hi waqif hoti hai taham is mein aur bhi bohat kuch hai.

Qehwa ya chai ki mukhtalif aqsam hain aur un ka istemal Pakistan mein bohat aam hai. Agar sehat ke hawale se baat ki jaye to sabz chai (Green tea) ke fawaid bohat hain, jis ki wajah se dunya bhar mein ise maqboliyat haasil hai.

Meta-bolic action se charbi jalana

Mahireen ke mutabiq sabz chai motapa kam karne ke amal mein jism ko metabolic action ke zariye asaani faraham karti hai. Har insan ke motapay ki noyat mukhtalif hoti hai lekin sabz chai har kisi ko faida pohchane mein muaawin sabit hoti hai. Sabz chai mein mojood caffeine jism ki kargardgi barhati hai.

Dil ki hifazat.

Sabz chai mein aik murakkab daryaft hua hai, jo khoon ki raghon aur sharyanon ki tangi aur sakhti ko door karne mein bohat madadgar sabit ho sakta hai. Waqt ke sath sath sharyanon mein charbi jama hoona shuru hojati hai aur barhte barhte sakht block ki surat mein dhul jati hai. Iss tarah dil ko oxygen se bharpoor khoon ki farahmi mutasir hoti hai, jis se heart attack aur falij hone ka khatra barh jata hai. Waise to iss amal mein barson lagte hain lekin jab band sharyanon ka khatra samne ata hai to iss ke bohat sangeen natayej braamad hotay hain.

Iss zamn mein sabz chai ka ba-qaida istemal bari had tak iss pareshani ko door kar sakta hai. Mahireen ne aik mushtarka tehqeeq ke baad kaha hai ke sabz chai ke khushk paton mein aik paicheeda chemical ‘epigallocatechin-3-gallate’ paya jata hai. Science-dano ne tajurba-gah mein sabit kiya hai ke yeh murakkab aik khas protein par asar andaz hota hai, jiska naam epolaiapu protein A-1 hai.

Danton ke liye mufeed

Sabz chai mein bacteria ko khatam karne ki khasiyat payi jati hai, isi liye issay danton ki sehat ke liye bhi mawazna jata hai. Sabz chai ko cheeni ke baghair peenay ki koshish karen takay iss ka danton par asar na ho.

Sabz chai bohat se sehat ke fawaid rakhti hai. Dusri tehqeeqat se sabit ho chuka hai ke sabz chai dimagh ke khelon ki hifazat karti hai aur bekaar hone se bachati hai. Sabz chai barhti umar mein yaddasht aur Alzheimer jesi bemariyon se bachne aur Parkinson’s jesi bemari ke khatrat ko kaafi had tak rokne mein madad karti hai. Agar bohat zyada tension ho to sabz chai peene se sakoon milta hai.

Cancer ke khatrat kam karna

 ke liye ek tehqeeq mein sabz chai aur cancer ki rok tham ke hawale se musbat natijay samne aye. Muhaqqiqeen ke mutabiq sabz chai mein maujood polyphenols nam juzo cancer ke khelon ko marnay aur un ki pesh qadmi ko rokne mein madadgar sabit hota hai. Ek aur tehqeeq mein yeh baat samne aye ke sabz chai istemaal karne wali khawateen mein elaaj ke baad breast cancer ke loutne ka imkan kam hota hai, jab ke ek aur amrici tehqeeq mein ise aanton ke cancer ka khatra 30% tak kam karne ke liye behtreen bataya gaya hai.

Kolesterol ke liye sabz chai khoon mein kharab kolesterol ko kam karti hai jabke sehat ke liye zaroori kolesterol ki satah ko barhati hai.

Badhazmi se hone wali gas aur sar dard ke liye sabz chai mein elaichi daal kar peene se afaqa hota hai. Elaichi maida mein maujood laabi jhilli ko mazboot banati hai, is liye yeh tezabiyat ke liye mufeed hai.

Diabetes ka khatra kam hona:

Mashrion ke mutabiq sabz chai angiina aur diabetes type 2 ko control karti hai. Agar aap pabandi se sabz chai peete rahen to khoon mein sugar ke izafay ko bhi control kar sakte hain. Amraaz-e-qalb ki rok thaam ke silsilay mein sabz chai mein maujood ajza khoon ki sharyano mein cholesterol mein izafay ke khilaf ek mustahkam aur mazboot dafaei nizam faraham karte hain. Yaad rahe ke high cholesterol falaj aur dil ke dorey ki ahem wajuhat mein shamil hai.

Joron ke dard ke liye behtareen:

Kharish aur dard ki rok thaam ke liye rozana chaar cup sabz chai peena shuru kardain. America ki Western Reserve University ki tahqeeq mein bataya gaya hai ke sabz chai mein aisa kemiai compound hota hai jo taqatwar insidad sujan aur antioxidant ka kam karta hai jis se joron ke amraaz ka khatra chaye se door bhagne walo ke muqable mein 60% tak kam hojata hai.

Allergy se relief:

Sabz chai phytochemicals yaani nabataty chemicals se bharpoor hoti hai jo sujan se tahaffuz deti hain. Allergies ka samna hone par rozana kuch cup is mashroob ke istemaal se naak ke andruni hissay ki sujan mein kami aa sakti hai, jo allergy se tahaffuz ke liye madadgar sabit hota hai.

Sabz chai apne rozana

Sabz chai apne rozana ke mamoolat mein shamil karke jald hi aap apni sehat mein behtari laa sakte hain. Sabz chai ka zaiqa shayad aap ko thoda sa karwa lag sakte hai, jis ke liye aap is mein leemo ya shehad shamil kar lein. Sabz chai ka rozana istemal aap ko hairat angaiz nataij de sakta hai.

Leave a Comment