Sehat dekh bhaal ki khidmat tak rasai mein sanfi tafreeq
Pichle chand dahaiyon mein sehat dekh bhaal ki khidmat mein honay walay paish raft ke bawajood, hamein ab bhi in shobon mein tehqeeq aur ilaaj ki salahiyaton mein wasee khalaa ka samna hai jo khawateen ke liye makhsoos hain, jaisay ke zachaagi aur mahwari ki sehat, niz aise haalaat jo mardon ke muqable khawateen mein mukhtalif hain.
Yeh farq sehat ke baray masail aur ilaaj mein tafreeq ka baais ban saktay hain jinhain badi hadd tak roka ja sakta hai. Misal ke tor par, America mein shobah sehat ke zimay daar adaa se DCC ka kehna hai ke America mein hamal se mutaliq paanch mein se chaar amwaat ko roka ja sakta hai aur safaid faam khawateen ke muqable siyah faam khawateen ke doraan-e-hamal mout ka imkaan taqreeban teen guna zyada hai.
Shobah sehat mein sanfi adam masawaat
Sanfi bunyad par sehat ki suhuliyat tak rasai mein farq koi naya mawzu nahin hai. Sehat ki dekh bhaal mein sanfi tafreeq ne haliya barson mein bohat si surkhiyaan banaai hain. 2016 mein, aalami idara-e-sehat (WHO) ne btaya ke agar che Europi Union mein khawateen, mardon ke muqable zyada lambi umar paati hain, lekin woh apni zindagi ka zyada hissa kharab sehat mein guzarti hain. Agarchay in nataij ne iss waqt kaafi tawajjah haasil ki, lekin iss ke bawajood yeh tehqeeq khawateen ki sehat ko tarjeeh dene ke liye aik ahem maddi tabdeeli lane ke liye darkaar raftaar ko barhaane mein nakam rahi.
Abhi ek bada masla yeh hai ke khawateen ki sehat ke masail ki rok thaam tareekhi tor par aik amoomi aur mustaqil terjeeh rehne ke bajaye, waqti tawajjah aur laiha-e-amal tak mehdood rehi hai. Yeh COVID-19 wabai marz ke doraan wazeh ho gaya tha, kyun ke iss ne ahem tafreeq ko mazeed barhaya aur sehat ki dekh bhaal ki policies aur nizaamoon mein maujood iss ahem khala ko be naqaab kya.
Pichle do saal mein, hamari kamzor abadi khas kar khawateen aur bachon sab se zyada mutasir hue hain. Zichgi ki sehat ki baat karein to bohat si hamila maaen naqal o hamal ki sahuliyat ki kami ya adam dastiyabi ki wajah se apne mualij ya medications ke paas baqaeda gi se check up ke liye nahi ja saki. Bachon ki dekh bhaal ki khidmaten hasil karna bhi mushkil raha. Aur, kuch mumalik mein, zichgi ki sehat ki ahmiyat se be khbari ne masail ko aur phechida bana diya.
Khawateen ki sehat ki ahmiyat ke bare mein aaghahi aur pehchan, wabai marz ke tanazur mein musalsal barh rahi hai, jo hamein sehat ki dekh bhaal mein sanfi adam masawat ko munazzam tareeqe se door karne ke liye pehle se kahin zyada ahem mauqa faraham karti hai.
Sehat ki sahuliyat mein tafreeq khatam karna.
Khawateen ko sehat ki suhulat ki farahmi mein tafreeq khatam karne ke hal inqalabi nahi hain. Peshraft mein sust rawi ki waja zyada tar funding ki kami aur is ke natije mein khawateen ki sehat ke masail par tibi tahqeeq aur data ki adam dastiyabi ke gird murakkab hai. Tareekhi tor par, tibi aadad o shumar aur nataij sirf mardana jaanch aur aazmaaishon se hasil hotay hain. Ye hairat ki baat ho sakti hai ke clinical studies mein khawateen shareekaa ko shamil karna sirf 1980 ke dahe mein shuru hua tha aur National Institute of Health ke rahnuma khaton ke mutabiq sirf 1993 mein America mein usay lazmi qarar diya gaya tha.
Tibb mein yeh sanfi t’asub khawateen ko khatray mein daalta hai. Un ke jism ke bare mein jo kuch hum jantay hain us ki tafhim mein kaafi farq hai. Aaj 30 saal baad bhi, tarazu adam tawazun ka shikar hai. Misal ke tor par, jaisa ke Harvard Health mein bataya gaya hai, daemi dard ke haalaat se mutasir honay walon mein 70% khawateen hain, jab ke dard ki tahqeeq mein 80% numuna mardoon par mushtamil hota hai. Digar mutaleaat se pata chalta hai ke waseel aksar in bemariyon ke liye ghair mutanasib tour par mukhtas kiye jatay hain jo bunyadi tor par mardoon ko mutasir karta hain.
Technology ka tafreeq khatam karna.
Digital Solutions aur Consumer Tech ka arooj khas tor par zachi ki sehat ki himayat mein hosla afza peshkash karta hai. Duniya ki kayi maya naz companies dunya bhar mein khawateen aur larkion ki sehat ke nataij behtar banana ke liye technology ka istemaal karte hue zachi aur gaini se lekar cardioloji aur cancer ki dekh bhaal tak, sanfi sehat ke farq ko khatam karne ke liye kaam kar rahi hain.
Ghar mein door daraz se janin ki nigrani, kam lagat ultrasound aur apps jo chalte phirte blood pressure ki pemaish tak rasai faraham karte hain, khatray se dochash hamal ke liye inqalabi tabdeeliyan sabit hosakti hain aur yeh sehat dekh bhaal khidmaton tak rasai mein rukawaton ka samna karne wale dunya bhar ke tabi mahireen aur communities ko bana rahi hain.
Niji shoba ki zimmedari hai ke woh policy sazoon ke sath mil kar funding mein izafah kare aur mazeed clinical studies ko yaqeeni banaye jin mein khawateen bhi shamil hon. Humein apne scientific mutaliaat aur muaawin technology mein sanfi tassub par bhi kari nazar daalne ki zaroorat hai takay yeh yaqeeni banaya ja sake ke woh waqai khawateen ke liye jamayi nataij hasil kar rahe hain. Afraad aur idaroon ke tor par, humein wabai marz ke baad ke dour mein sanfi sehat ki masawat ko agenda mein sarfharast rakhne ke liye mil kar kaam karna chahiye.