Sehatmand nashta, tandrusti ki zimmedari
Iss mein koi do raaye nahi ke ghizaayat se bharpoor aur saaf suthri khorak aap ki sehat aur purkashish o jazib-e-nazar dikhnay mein bohat ahem kirdaar ada krti hai. Aap jis qadar sehat bakhash ghizayen khaengay, utni hi zyada yeh aap ke chehray se shadabi ki surat jhalkeingi. Issi liye to kehtay hain ke jo aap khatay hain wohi dikhata hai.
Achi ghiza khane ka aaghaz din ke aaghaz se hi hona chaahye. Shayad aap nahi jaantay ke ek acha aur bharpoor nashta na sirf aap ki sehat ko barqarar rakhta hai balkay aap ki khubsurti mein bhi izafa karta hai. Jo log sehat bakhash nashta karte hain unki khuraak mein zyada ghizayi ajza hotay hain jaise fiber, calcium, vitamin A aur C, riboflavin, zinc aur iron.
Traz-e-zindagi mein kisi bhi tabdeeli ki tarah, rozana sehat bakhash nashta ki aadat daalnay mein waqt lagta hai. Aap ko yeh jaan’nay ke liye kuchh tajurba karna hoga ke aap ke khandaan ke liye kaun si cheez behtareen hai. Nashte mein apni dilchaspi barhane ke liye nayi tarkibiyan aazmaana, waqt se pehle apne nashte ki mansooba bandi karna aur apne bawarchi khane mein sehatmand intikhab ke saath samaan zakhairah karna nashte ke waqt ko kaamyab bananay mein madadgaar sabit ho sakta hai. Aap ka pasandida sehat bakhash nashta kya hai? Nashte mein khanay ke liye zail mein kuchh ashiyaan batayi jarahi hain, jinhain apne nashte ka hissa bana kar mutma’in o masroor rehengay.
Papita.
Rawaazna ek saib khana doctor se door rakhta hai. Yeh mohaawra to ab har shakhs jaanta hai aur shayad purana bhi hogaya hai, ab iski jagah papita tajweez kiya jata hai. Papite ke sath lehsun ka tadka aap ki subah ko zabadast aghaaz faraham karta hai. Is mein faida mand proteolytic enzymes hotay hain, jo na sirf aap ke hazmay ke af’aal ko behtar banatay hain balkay apni sozish-kush khasosiyat ki wajah se yeh jism mein paida honay wali jalan ya sozish ke khilaf bhi kaam kartay hain. Mazeed baran aap papite ke chilkay apne chehray par narmi se aahista aahista malain, yeh aap ki jild ko qudrati tor par exfoliate kar day ga.
Tukhm-e-balanga ki pudding
Nashtay mein tukhm-e-balanga khane se na sirf aap ke din ko zabadast aghaaz milta hai balkay is ke ander mojood omega three fatty acids aap ki jild ko tar-o-taza aur hydrate rakhtay hain. Is ke ilawa jin logon ko inflammation (jild mein jalan ya sozish) ka masla yaani eczema aur psoriasis ho, un ke liye yeh zabadast booster kaam karta hai. Is ke ilawa tukhm-e-balanga mein silica bhi hota hai, jo murattib tashooz yaani muscles ki banawat mein ahem kirdar ada karta hai, isi liye yeh aap ke balon, jild aur nakhuno ke liye bohat faida mand hai.
Jamun:
Agar aapko mazedar nashte ke sath bharpur antioxidants ki khwahish hai toh aap apne nashte mein jamun shamil kar lein. Agarcha ye aam tor par har mausam mein dastiyab nahin hote lekin jab is ke faiday aapko pata chalenge toh aap shadoo mad se is ki talash shuru karenge. Aap fruit chaat mein jamun, strawberry, sharifa aur badam waghera mila kar khaayein.
In sab ke andar maujood antioxidants aap ki jild ko free radicals se mehfooz rakhte hain aur jild ko waqt se pehle dhalne se bachate hain. Saath hi jamun mein maujood anti-inflammatory khwahishat, faida-mand minerals jaise ke calcium, vitamin A, phosphorus, iron aur thiamine aap ki tamam tar sehat ko bharpur banate hain, jo aap ke damakhtay chehre se bhi jhalkti hai.
Anday:
Duniya bhar mein nashte mein andon ka istemaal bohat maroob samjha jata hai aur har koi unhein tarah tarah ki recipes se banakar lutf uthata hai aur agar aap apne nashte mein anday istemal nahin karte toh aapko ye foran shuru karna chahiye. Andon ka sab se bara faida ye hai ke is se mukhtalif qisam ke nashtay ban sakte hain aur aap bore nahin hote.
Ghizaayat ki baat karein to anda protein ka behtareen zariya hain aur subah ke waqt andon se hasil honay wala protein aap ke din bhar ke blood sugar level ko normal satah par barqarar rakhne mein muawan hota hai aur yeh aap ke hormones par manfi asar nahi daalta. Anday collagen peda karne ke amal mein bhi tezi late hain, jo jild ko jawan rakhne mein madadgar hote hain. Is ke ilawah anday Vitamin D ka bhi behtareen zariya hain.
Red smoothies.
Red smoothies mein laal ghizaain jaise ke tarbooz aur chukandar shamil hotay hain. Chukandar fiber se bharpoor hota hai, jis mein calories bhi kam hoti hain. Darj-e-ala tareeqay ke mutabiq, nisf cup skimmed milk, nisf cup Greek yogurt, aik cup kata hua tarbooz aur aik slice chukandar mila kar unhain blend karlein.
Chukandar ka zaiqa chunkeh aksar logon ko acha nahi lagta, isi liye tarbooz shamil karne se chukandar ka zaiqa dab jata hai aur aap ko aik mazedar smoothie nosh karne ko mil jati hai. Chukandar ke istemaal se khoon ke surkh khalyon mein izafa hota hai, khoon patla hota hai aur is ke doraan mein aitidal aata hai, jis ki wajah se blood pressure control mein aur insaan sehatmand rehta hai.